Please read this as a 1st standard hindi poem.
Chota tha tab mota tha
raat ko uthkey rota tha
mummy uthkey mujey sulati
aisa har din hota tha
thoda bada hua to school gaya
raaton mein uthna bhool gaya
teacher jab dekho chillati
aisa har din kaam kiya
ghar sey aya padhney ka jor
bola to mainey machaya shor
tution teacher roz padhati
har din karkey ho gaya bor
phir ayi college ki bari
padhai jaisey khatam ho gayi sari
girlfriend call kar mujhey bulati
har din hoti batey pyari
Hostel life to rocking thi
dosto key saath shocking thi
padhai jab kab yaad aati
wo exam key pehley ki mugging thi
iskey baad job karney laga
paisey key peechey bhagne laga
company itna kaam karati
masti maza bhulney laga
mummy ney phir karwa di shaadi
chin gayi bachi kuchi azaadi
biwi hardin mujhsey jhagadati
lagta ho gai barbaadi
dekhtey dekhtey ho gaye saal
sir par kuch bachey nahi baal
zindagi tab bhi khel dikhati
hardin sunati naya taal
hehehee...cho chweet... 1st std rhyme with a lot of thought involved!! :)
ReplyDelete