Dil ki tammanaao ko aasman to chootey dekha hai
Kalpana ki patang ko aasman mein jhoomtey dekha hai
Chotey chotey pattoon par baarish ki boondey
Bade ped key niche barish se chuptey dekha hai
Khilono se baatey kar khayalo key pankh lekar
Un yaadon key aasman mein khud ko udtey dekha hai
Dosto key ghar janey key liye ma sey jhagda hotey dekha hai
Dost sey bhi jhagda kar koney mein aasu bahatey dekha hai
Khwaboon key sheeshey bikhartey hue dekha hai
Bichadney par dosto ko toont tey hue dekha hai
Zindagi key bheed mein khud ko dhundhtey hue dekha hai
Udney ki chahat mein khud ko girtey hue dekha hai
Doosro ki aankhon mein khud ko dekha hai
Mohobbat ki rahoon mein khud ko khotey hue dekha hai
Khud hi khud par sheehshey mein hastey hue dekha hai
Dekha hai aise bhi kuch aise hi dekha hai
I bow to thee sire.....
ReplyDeleteEk kaafir se khayal ko ubharte hue dekha hai
aapko sifar se aasmaan ki taraf uthte hue dekha hai
khel khel me jo lafz baandhe hai aapne
zindagi ka maqsad samjhaate hue dekha hai!!!
beautiful.... simply beautiful!!
dude, u gave 4 paragraphs of your song, and the two followed...
ReplyDeletejoining all of them, its too good.....awesome....
:)